Dahi say Hath aur Paaon ki Hifazat:
Khushk haath aur dead skin kisi bhi larki ka khawab nahi hota. Apnay haathoon ko khooobsoorat aur haseen bnana aik nuhayat mushkil kaam ha imager dahi is kaam ko asaan bna daita hai.
- Sirf dahi ko lain aur isko apnay haathoon per laga lain. Baqi ka kaam dahi khud ker lay ga kiyun k iss mein qudrati taur per aisi khoobiyaan paai jati hain jo k apkay hath aur jild ko haseen bnatay hain.
- Dahi mein aik leemoon ka rus mila ker isko 30 minutes k liye fridge mein rakh dain. Aur phir iska massage karain. Kuch dair massage k baad hath aur nakhun(nails) dho lain aur haath khushk ker lain. Ap note karain gi k apkay hath aur nakhun naram o mulaaim aur chamakdaar ho gaye hain. Dahi mein maujood proteins apkay nakhun ki growth k liye bohut faida mund hai. Yehi tareeqa ap apnay paaon ki hifazat k liye bhi istemaal ker sakti hain. Ager apkay paaon ki jild phati hoi hai tou simple dahi istemaal kerna behter hai